Hum Ruthe To Kiske Bharose,
Kaun Hai Jo Aayega Hume Manane Ke Liye,
Ho Sakta Hai Taras Aa Bhi Jaye Aapko..
Par Dil Kaha Se Laa Aapse Ruth Jane K Liye.
Aaj ki raat mera darde mohabbat sun le
Kap kapaate hue hontho ki shikayat sun le
Aaj izhare khayalat ka mouqa de de
Ham tere shahar me aaye hai musafir ki tarah…
Aaj pher li unhone aankhe humse Jo humpe jaan nisaar karte the.
Aaj naam lete bhi katraate hain Jo kabhi humse muhabbte ikrar karte the.
Aankhon Me Armaan Diya Karte Hai
Sabki Neend Chura Liya Karte HaiAb Se Jab Jab Aapki Palkay Jhapkeygi
samaj Lena Tab Tab Hum Aapko Yaad kiya karte Hai
Aansu na hote to aankh itni haseen na hoti
Dard na hota to khushiyo kya hoti
Puri karte khuda yuhi sab muraade
To ibadat ki kabhi zarurat na hoti.
Aap Hame Rulado Hame Gam Nahi
Aap Hame Bhulado Hame Koi Gam Nahi
Jis Din Humne Aap Ko Bhula Diya
Smaj Lena Is Duniya Me Hum Nahi…
Aap ki aashiqi ne humein mushoor kar diya
Apne sath jeene par majboor kar diya
Kitna seedha aur saccha sa hai prem tumhara
Ki humari Call se bajta hai mobile mein wo pyar bhara gana hamara…
Aapke deedar ko nikal aaye hai0 taare
Aapki khushboo se chha gayi hai bahare
Aapke saath dikhte hai kuch aise nazare Ki
Chhup chhup ke chand bhi bas aaphi ko nihare…
Aapki hasi pe chhidakte hain hum jaan
Aapki khushi pe toh hai sab kuch kurbaan
Aapke bin toh ye jahan lage veeran
Kyuki aap toh hai jaise is dil ka gulistaan
Aapko miss karna roz ki baat ho gayi
Yaad karna aadat ki baat ho gayi
Door rehna kismat ki baat ho gayi
Aapko bhul jaye humare bus ke bahar ki baat ho gayi…
Romaintic Sayri
Reviewed by Unknown
on
July 24, 2018
Rating:
No comments: